Uljhi hui ye doriyaan..
Uljhi hui ye doriyaan suljhaa le
Dil ki tu suney agar
Dil saccha hai dilwale
Raahein nahin aisi toh kahin
Jahaan kahin koi mod nahin
Kehta hai ye dil
Toote sheeshon ko tu jod nahin
Raahon mein do raahein
Aate hain sau baar
Kadam kadam iqraar hai
Kadam kadam inkaar
Phir bhi ye zindagi
Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Lehrein ye waqt ki
Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Tanhaaiyan hai ghul si gayi saanson mein
ooo... kya karein...
Maana kahin koi bhi nahin
Jisey mila kabhi gham na ho
Par humko toh wo gham hai jo
Ik pal ko bhi kam naa ho
Humne jo baazi kheli, jeet nahi paaye
Ab wo tanhaai hai jo beet nahi paaye
Phir bhi ye zindagi
Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Lehrein ye waqt ki
Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Tanhaaiyan... hai ghul si gayi saanson mein
ooo... kya karein...
Angdaai leti hain phir se umeedein
Palkon pe chaaye jo sapne
Jaag uthte phir jaise dil mein
Armaan jo soye thhe apne
Jaana hai kis raste
Ye bhi na tu jaane
Kyun hai dil deewaane
Phir bhi ye zindagi
Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Lehrein ye waqt ki
Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Tanhaaiyan hai ghul si gayi saanson mein
ooo... kya karein...
Uljhi hui ye doriyaan..
Uljhi hui ye doriyaan suljhaa le
Dil ki tu suney agar
Dil saccha hai dilwale
0 comments:
Post a Comment